786 AUR BISMILLAH
Assalamu alaykum,
Dosto , Aap sab 786 se to vakif hi hoge
786 ko log bismillah ki jagah istemal karte hai . Aap ne ye bhi suna hoga ki kai log kehte hai ki
Bismillah ka adad 786 nahi balki 726 ya fir 1188 hai.
Aaie aj ham iska calculation karte hai
Bismillah Hirrahma Nirrahim me 19 huruf hai aur unki adad ke hisab se tadad kuchh yu hoti hai
| Harf No. | Harf | Adad |
|---|---|---|
| 1 | Ba | 2 |
| 2 | Seen | 60 |
| 3 | Meem | 40 |
| 4 | Aleef | 1 |
| 5 | Laam | 30 |
| 6 | Laam | 30 |
| 7 | Ha chhoti | 5 |
| 8 | Aleef | 1 |
| 9 | Laam | 30 |
| 10 | Ra | 200 |
| 11 | Ha badi | 8 |
| 12 | Meem | 40 |
| 13 | Noon | 50 |
| 14 | Aleef | 1 |
| 15 | Laam | 30 |
| 16 | Ra | 200 |
| 17 | Ha badi | 8 |
| 18 | Yaa | 10 |
| 19 | Meem | 40 |
| Total | 786 |
Dosto , Ab apko samaj aa gaya hoga ki ham Bismillah ki jagah 786 kyu likh te hai
Pyare Bhaio Agar apko ye blog pasand aya ho to please comment jarur kare aur agar meri kahi par is blog me galati hui ho to please meri islah kare
Jazakallah
